....Khuda Janay Kashish kaisi hai Uski Yaadon main ♥ Main Uska Zikr Cheroon to Hawain Raqs karti hain ....

Wednesday 26 December 2012

Allama Iqbal Ilm-o-Ishq

 PyarIkKhuwaB


Allama Iqbal

Ilm-o-Ishq


Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!

Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat

Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!

Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen

Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!

Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam

Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

© PYaR IK KhuWaB, AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena