....Khuda Janay Kashish kaisi hai Uski Yaadon main ♥ Main Uska Zikr Cheroon to Hawain Raqs karti hain ....

Friday, 28 December 2012

Rab Rab Karde Budhe Ho Gaye Bulay Shah Poetry

Bulay Shah Poetry

Rab Rab Karde Budhe Ho Gaye, Mulla Pandat Saray,

Rab Da Khooj Khurra Na Lubha, Sajde Kar Kar Haare, 

Rab Te Tere Andar Wasda. Wich Qur'aan Ishaare, 

Bulleh Shah'! Rab Unho Milsi Jhehra Apne Nafs Nu Mare
Read More

Baat Karni Mujay Mushkil Asi Toh Na Thi Bahadur Shah Zafar Poetry

Bahadur Shah Zafar Poetry

pyar ik khuwab, bahadur shah zafar, poety bahadur shah zafar

 

Baat Karni Mujay Mushkil  Asi Toh Na Thi

Jase Ab Hai Teri Mahfil Kabi Ase Toh Na Thi

Ly Gya Chain Ky Kon Aj Tera Sabar-o-Karar

By Karari Tujay Ay Dil Kabi Ase Toh Na Thi

Teri Ankhoon Ny Khuda Janay Kia Kia Jado

Ky Tabitay Meri Mayail Kabi Ase Toh Na Thi

Kiya Sabab Tu Jo BaGarta Hai Zafar Sy Har Bar

Jo Teri Hoor Shumail Kabi Ase Toh Na Thi
Read More

Wednesday, 26 December 2012

Allama Iqbal Ilm-o-Ishq

 PyarIkKhuwaB


Allama Iqbal

Ilm-o-Ishq


Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!

Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat

Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!

Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen

Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!

Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam

Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!
Read More
Powered by Blogger.

© PYaR IK KhuWaB, AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena